Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha Lyrics: this song is sung by Rahat Fateh Ali Khan & the Music for this song is Composed by Sahir Ali Bagga & the Lyrics for this Song is Written by Khalil-ur-Rehman Qamar.Zaroori Tha Lyrics

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat, mera jalaya hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene wala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

Aaaa… Aaaaa…

Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha

Batao yaad hai tumko
Wo jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha

Wo jab kehte thhe
Mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
qara karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai
Wo baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Aaaa… Aaaa…

Wahi hai suratein apni
Wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya hua hoon main
Magar tum bhi kahin ghum ho

Mohabbat mein dagha ki thi
So kaafir thhe so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musafir thhe, musafir hain

Tere dil ke nikaale hum
Kahan bhatke, kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka