Vardaan Lyrics – Carryminati | Wily Frenzy

Vardaan Lyrics by CarryMinati is the latest Hindi song. Wily Frenzy composed music, and the lyrics for Hindi track ‘Vardaan‘ are written by CarryMinati.

VARDAAN HINDI SONG LYRICS • CARRYMINATI

Sashakt Bakse Mein Band,
Pade Pade Laga Uspe Jang Aur Gand,
Kabhi Kabhi Karta Hai Man,
Karlun Usi Bakse Mein Khud Ko Band,Ghisat Ghisat Ke Lad, Jaise Tu Koi Tuti Patang,
Seh Le Tu Dard Kyun Ki Kabhi,
Na Hogi Khatam Ye Jung,

Gharvalon Se Ati Sharam Kehne Mein,
Jo Mujhe Hai Ban na,
Jab Tak Deta Na Sabut Toh Kaise Bolun,
Han Yahi Hai Shuru Se Mujhe Karna,

Raste Jo Pas Thhe Kab Ayenge Samne,
Jitna Picha Karoge Utne Badhege Fansle,
Sapno’ Ke Liye Sans Le Sapno Ke Liye Jan De,
Kaise Hai Karna Bas Yahi Na Jante,

Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se,
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe,
Jahan Pe Jeet Ki Pukar Bhi Sunai De,
Is Bat Ki Meri Puri Zindagi Gavahi De,

Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se,
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe,
Jahan Pe Jeet Ki Pukar Bhi Sunai De,
Is Bat Ki Meri Puri Zindagi Gavahi De,

Neeche Mat Dekhna Piche Mat Mudna,
Chilate Log Zinda Ya Murda,
Zara Soch Kabhi Tu Bhi Vahin Tha,
Par Tujhme Thi Veerta Han Tu Hi Sahi Tha,

Sabmein Jalti Hai Aag,
Jise Aksar Bujhne Dete Hai Hum,
Ant Mein Bachti Hai Rakh,
Jo Karti Himmat Aur Bhi Kam,

Karni Hai Puri Apni Khurak,
Lagega Sirf Ek Hi Janam,
Lapte Uthengi Rakh Se,
Bas Rakhna Hai Age Kadam,

Padenge Piche Log Aur Marenge Tane,
Unki Mat Sun Yeh Bukhe Bechare,
Jane Anjane Yeh Bas Khate Hai Dane,
Ye Log Khud Ko Na Pehchane,
Toh Socho Kaise Ayenge Humein Bachane,

Nakamyabi Ka Jab Badhta Hai Andhera,
Nahi Samjhte Sab Aur Lagta Hai Akela,
Tab Bhulo Na Kya Kya Tumne Jhela,
Kyun Ki Ata Hai Andhera Taki A Sake Savera,

Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se,
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe,
Jahan Pe Jeet Ki Pukar Bhi Sunai De,
Is Bat Ki Meri Puri Zindagi Gavahi De,

Pakdo Mera Hath Kudo Tum Unchai Se,
Jayenge Niche Nahi Aur Bhi Unchai Pe,
Jahan Pe Jeet Ki Pukar Bhi Sunai De,
Is Bat Ki Meri Puri Zindagi Gavahi De,

Ban’na Nahi Legend Banani Bas Apni Jagah,
Dena Nahi 100 Percent 200 Tu Pover Laga,
Qismat Ko Bhul, Bhul Mat Apni Vajah,
Lagi Hai Chot Vardan Hai Na Koi Saza,