Naam Abdul Hai Mera Lyrics – Mohammed Rafi – Shaan

Naam Abdul Hai Mera Lyrics: Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon old song lyrics from the movie Shaan (1980). The song was sung by Mohammad Rafi and the Music is composed by R. D. Burman and lyricist is Anand Bakshi.

Naam Abdul Hai Mera Lyrics

Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon
Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon
Naam abdul hai mera, kya?
Ho.. naam abdul hai mera
Sab ki khabar rakhta hoon

Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon
Naam abdul hai mera
Sabki khabar rakhta hoon
Ho.. naam abdul hai mera
Sabki khabar rakhta hoon

Sar kisi ke samne jhuk jaaye mera
Yeh mujhe manzoor nahi
Aa pade waqt to mohtaaj sahi
Par main majboor nahin

Sar kisi ke samne jhuk jaaye mera
Yeh mujhe manzoor nahi
Aa pade waqt to mohtaaj sahi
Par main majboor nahin
Jaan par khel jaaoon
Main woh jigar rakhta hoon
Jaan par khel jaaoon
Main woh jigar rakhta hoon
Naam abdul hai mera, kya?
Haan.. naam abdul hai mera
Sab ki khabar rakhta hoon

Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon
Aate jaate hue main sab pe nazar rakhta hoon
Naam abdul hai mera
Sab ki khabar rakhta hoon
Ho.. naam abdul hai mera
Sab ki khabar rakhta hoon

Kisne liya kisne diya
Kisne kahan maal chhupa rakha hai
Maine is dil mein sari duniya ka
Haal chhupa rakha hai

Kisne liya kisne diya
Kisne kahan maal chhupa rakha hai
Maine is dil mein sari duniya ka
Haal chhupa rakha hai
Bol sakta hoon zubaan band magar rakhta hoon