Koi Deewana Kehta Hai Poem Lyrics – Kumar Vishwas

Koi Deewana Kehta Hai Lyrics: A lovely, romantic, affectionate and inspirational poem lyrics By Kumar Vishwas. Enjoy this lyrics and have a nice day.

 

Ke koi deewana kehta hai

 

Ke koi deewana kehta hai

Koi pagal samajhta hai

Koi deewana kehta hai

Koi pagal samajhta hai

Magar dharti ki bechaini

Ko bas badal samajhta hai

Magar dharti ki bechaini

Ko bas badal samajhta hai

 

Main tujhse door kaisa hoon

Tu mujhse door kaisi hai

Main tujhse door kaisa hoon

Tu mujhse door kaisi hai

Yeh tera dil samajhta hai

Yaa mera dil samajhta hai

 

Ke mohabbat ek ehsaaso

Ki paawan si kahani hai

Ke mohabbat ek ehsaaso

Ki paawan si kahani hai

 

Kabhi kabira deewana tha

Kabhi meera deewani hai

Yahan sab log kehte hai

Meri aankho mein aansoo hai

Yahan sab log kehte hai

Meri aankho mein aansoo hai

Jo tu samjhe to moti hai

Jo naa samjhe to paani hai

 

Ki samandar peer ka andar hai

Lekin ro nahi sakta

Samandar peer ka hai andar hai

Lekin ro nahi sakta

Yeh aansoo pyaar ka moti hai

Isko kho nahi sakta

Yeh aansoo pyaar ka moti hai

Isko kho nahi sakta

 

Meri chahat ko dulhan

Tu bana lena magar sun le

Meri chahat ko apna

Tu bana lena magar sun le

Jo mera ho nahi paaya

Woh tera ho nahi sakta

Jo mera ho nahi paaya

 

Ke bhramar koi kumudni par

Bhramar koi kumudni par

Machal baitha toh hungama

Hamare me dil mein koi khwab

Pal baitha to hungama

Abhi tak doobkar sunte the

Sab kissa mohabbat ka

Abhi tak doobkar sunte the

Sab kissa mohabbat ka

Main kisse ko haqeeqat mein

Badal baitha to hungama

Main kisse ko haqeeqat mein

Badal baitha to hungama