Jaanein Bachayenge Lyrics – Arijit Singh

Jaanein Bachayenge is the newest Hindi song, and Arijit Singh hummed it. Arijit Singh arranged its music, and Oriyon Music By Arijit Singh directed music video. Neelesh Misra wrote-down the lyrics for Jaanein Bachayenge track released on June 6, 2021.

ARIJIT SINGH | JAANEIN BACHAYENGE FULL SONG LYRICS

Chehra Humara Ab Hum,
Kam Kam Hi Dekhte Hai,
Kamron Mein Bebasi Ke,
Bas Gham Hi Dekhte Hai,Bacchon Ka Apne Hasna,
Bas Phone Par Hai Dekha,
Ghayal Hatheliyo Par,
Jeevan Ki Tooti Rekha,

Hum Gharke Bistaron Par,
Kab Se Nahi Hai Soye,
Chhup Karke Naqabon Mein,
Hum Kitne Bar Roye,

Lo Rakhlo Apne Tamge,
In Surkhiyon Ko Rakhlo,
Har Roz Ki In Farzi,

Hamdardiyon Ko Rakh Lo,
Kyon Mera Rehnuma Yeh,
Sab Rokta Nahi Hain,

Kabhi Mautke Munh Mein Yoon,
Koyi Jhankta Nahi Hain,

Koyi Rehnuma Nahin Hain,
Kuch Soojhta Nahin Hain,
Jo Zindagi Bachate,

Unko Koi Pushta Nahin Hain,
Meri Bhooli Muskurahat,
Tum Yoon Sambhal Rakhna,

Apna Khayal Rakh Ke,
Mera Khayal Rakhna,

Meri Bhooli Muskurahat,
Tum Yoon Sambhal Rakhna,
Apna Khayal Rakh Ke,
Mera Khayal Rakhna,

Janein Bachayenge,
Janein Bachayenge,
Janein Bachayenge,
Janein Bachayenge,

Bharke Cylinderon Mein,
Main Zindagi Hoon Dhhota,
Kash Aisa Jadu Ata,

Yeh Khatm Hi Na Hota,
Aankhonke Samne Jo,
Cheekhein Nikalte Hain,

Woh Sas Ki Nadi Mein,
Sike Khangalte Hain,
Auronke Gamon Se Ab,

Hai Toot Rahi Shati,
Aankhein Hain Thaki Aise,
Ab Ro Bhi Nahin Pati,

Mujhe De Do Thodi Fursat,
Mujhe De Do Ghar Ka Kona,
Mujhe Dosto Se Milna,
Mujhe Der Tak Hain Sona,

Baccho Ne Jane Apni,
Ki Ya Na Ki Padhai,
Woh Kaid Hain Kamron Mein,
Mujhko Bhi Na Rihai,

Kaise Milega Rasta,
Kuch Boojhta Nahin Hain,
Jo Zindagi Bachate,
Unko Koyi Pushta Nahin Hain

Meri Bhooli Muskurahat,
Tum Yoon Sambhal Rakhna,
Apna Khayal Rakh Ke,
Mera Khayal Rakhna,

Meri Bhooli Muskurahat,
Tum Yu Sambhal Rakhna,
Apna Khayal Rakh Ke,
Mera Khayal Rakhna,

Janein Bachayenge
Janein Bachayenge,
Janein Bachayenge,
Janein Bachayenge,

Kamzor Ab Na Padna,
Na Mujhko Padne Dena,
Jo Bhi Ho Jaise Bhi Ho,
Mushqil Na Badhne Dena,

Kamzor Ab Na Padna
Na Mujhko Padne Dena,
Jo Bhi Ho Jaise Bhi Ho,
Mushqil Na Badhne Dena,

Andar Se Toote Hain Hum,
Phir Bhi Chalte Jayenge,

Chalo Janein Bachayenge,
Chalo Janein Bachayenge,
Haan Janein Bachayenge,