Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha Lyrics: This Song is Sung by Rahat Fateh Ali Khan & Music Composed by Pakistani Musician Sahir Ali Bagga & lyrics written by Khalil-ur-Rehman Qamar.

 

Lafz Kitne Tere Pairon Se Lipte Honge

Tune Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga

Tune Jab Phool Kitaabon Se Nikaale Honge

Dene Waala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga

 

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha

Mohabbat Bhi Zaroori Thi

Bichhadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ke Hum Dono

Tawafein Aarzoo Karte

Magar Phir Aarzuon Ka

Bikharna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha

 

Bataao Yaad Hai Tumko

Woh Jab Dil Ko Churaya Tha

Churaayi Cheez Ko Tumne

Khuda Ka Ghar Banaya Tha

Woh Jab Kehte Thhe

Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhte Ho

Mohabbat Ki Namaazon Ko

Kaza Karne Se Darte Ho

Magar Ab Yaad Aata Hai

Woh Baatein Thi Mahez Baatein

Kahin Baaton Hi Baaton Mein

Mukarna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha

 

Wahi Hai Sooratein Apni

Wahi Main Hoon Wahi Tum Ho

Magar Khoya Huaa Hoon Main

Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho

Mohabbat Mein Daga Ki Thi

So Kaafir The So Kaafir Hain

Mili Hain Manzilein Phir Bhi

Musaafir Thhe Musaafir Hain

Tere Dil Ke Nikaale Hum

Kahaan Bhatke, Kahaan Pahunche

Magar Bhatke Toh Yaad Aaya

Bhatakna Bhi Zaroori Tha

Mohabbat Bhi Zaroori Thi

Bichhadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ke Hum Dono

Tawafein Aarzoo Karte

Magar Phir Aarzuon Ka

Bikharna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha