Sandese Aate Hai (From”Border”) 1999
Singer :- Roopkumar Rathod and Sonu Nigam
Lyrics
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai
Kisi dil waali ne, kisi matwaali ne
Hamein khat likha hai
Yeh humse poochha hai
Kisi ki saanson ne, kisi ki dhadkan ne
Kisi ki choodi ne, kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne, kisi ke gajre ne
Mehakti subahon ne
Machalti shaamon ne
Akeli raaton mein, adhoori baaton ne
Tarasti baahon ne
Aur poochha hai tarsi nigaahon ne
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh dil soona soona hai
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai
Mohabbat waalon ne hamaare yaaron ne
Hamein yeh likha hai, ki humse poochha hai
Hamaare gaaon ne, aam ki chhaaon ne
Puraane peepal ne, baraste baadal ne
Khet khalihano ne, hare maidano ne
Basanti belon ne, jhoomti belon ne
Lachakate jhoolon ne, dahakate phoolon ne
Chatakati kaliyon ne
Aur poochha hai, gaaon ki galiyon ne
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin gaanv soona soona hai
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai
Kabhi ek mamta ki, pyaar ki Ganga ki
Jo chitthi aati hai, saath woh laati hai
Mere din bachpan ke, khel woh aangan ke
Woh saaya aanchal ka, woh teeka kaajal ka
Woh lori raaton mein, woh narmi haathon mein
Woh chaahat aankhon mein
Woh chinta baaton mein
Bigadna upar se, mohabbat andar se
Kare woh devi Maa
Yehi har khet mein poochhe meri Maa
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin aangan soona soona hai
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai
Aye guzarne waali hava bata
Mera itna kaam karegi kya
Mere gaanv ja mere doston ko salam de
Mere gaanv mein hai jo woh gali
Jahan rehti hai meri dilruba
Use mere pyaar ka jaam de
Use mere pyaar ka jaam de
Wahin thodi door hai ghar mera
Mere ghar mein hai meri boodhi Maa
Meri Maa ke pairon ko chhoo ke tu
Use uske bete ka naam de
Aye guzarne waali hava zara
Mere doston, meri dilruba
Meri Maa ko mera payaam de
Unhein ja ke tu yeh payaam de
Main waapas aaunga, main waapas aaunga
Phir apne gaanv mein, usi ki chhaanv mein
Ki Maa ke aanchal se
Gaanv ke peepal se, kisi ke kaajal se
Kiya jo waada tha woh nibhaaunga
[Main ek din aaunga] (x8)