SAB YAAD RAKHA JAYEGA LYRICS | ENGLISH TRANSLATION | AAMIR AZIZ

Sab Yaad Rakha Jayega is potentially persuasive poetry by Aamir Aziz. Read the translation of compelling lyrics in English. He performed the poetry at the ‘India, My Valentine’ event in Mumbai on 16 February 2020. He dedicates this influential poetry to Kashmir, AMU, Jamia, UP, JNU, Delhi. This poem is for all those places where under cover of darkness, the cowards committed atrocities on us and oppressed us.

Tum Raat Likho Hum Chand Likhenge,
Tum Jail Mein Dalo Hum Deewar Phand Likhenge,
You could write the night, but we will write the moon.
If you put us in jail, we would jump over the walls and still write.
Tum FIR Likho Hum Hain Taiyar Likhenge,
Tum Humein Qatl Kar Do Hum Banke Bhoot Likhenge,
Tumhare Qatl Ke Sare Saboot Likhenge,

Aur Tum Adalaton Se Baith Kar Chutkule Likho,
Hum Sadkon Deewaron Pe Insaf Likhenge,
Behre Bhi Sun Le Itni Zor Se Bolenge,
You may enjoy jokes sitting in the courts,
But we will ink the walls, and roads about justice we need.
We will speak loud enough so even hearing-impaired ones could hear us.
Andhe Bhi Padh Lein Itna Saf Likhenge,
Tum Kala Kamal Likho, Hum Lal Gulab Likhenge,
Tum Zameen Pe Zulm Likh Do,
Asman Pe Inquilab Likha Jayega

Sab Yaad Rakha Jayega, Sab Kuch Yad Rakha Jayega,
Aur Tumhari Laathiyon Aur Goliyon Se,
Jo Qatl Huwe Hain Mere Yaar Sab,
Unki Yaad Mein Dilon Ko Barbaad Rakha Jayega,

Sab Yaad Rakha Jayega,
Sab Kuch Yad Rakha Jayega.
Aur Tum Seyahiyon Se Jhooth Likhoge,
Humein Maloom Hai,
Ho Humare Khoon Se Hi Sahi, Sach Zarur Likha Jayega,

Sab Yaad Rakha Jayega, Sab Kush Yaad Rakha Jayega,
Aur Mobile, Telephone, Internet Bhari Dopaher Mein Band Karke,
Sard Andheri Raat Mein Poore Shehar Ko Nazarband Karke,
Hataudiyan Lekar Daffatan Mere Ghar Mein Ghus Aana,
Mera Sar-Badan Meri Mukhtasar Si Zindagi Ko Tod Jaana,
Mere Lakht-E-Jigar, Jigar Ka Tukda,
Mere Lakht-E-Jigar Ko Beech Chaurahe Pe Maar Kar,
Yun Be-Andaaz Jhund Mein Khade Hokar Tumhara Muskurana,
Sab Yaad Rakha Jaayega, Sab Kuch Yad Rakha Jayega

Aur Din Mein Meethi-Meethi Baatein Karna Samne Se,
Sab Kuch Theek Hai Har Zubaan Mein Tutlana,
Raat Hote Hi Haq Maang Rahe Logon Pe Laathiyan Chalana,
Goliyan Chalana, Humi Pe Hamla Karke, Humi Ko Hamlavar Batana,
Sab Yaad Rakha Jayega, Sab Kuch Yad Rakha Jayega.

Aur Main Apni Haddiyon Pe Likh’ke Rakhunga Ye Sare Vardaat,
Main Apni Haddiyon Pe Likh’ke Rakhunga Ye Sare Vardaat,
Tum Jo Maangte Ho Mujhse Mere Hone Ke Kagzaat,
Apni Hasti Ka Tumko Saboot Zarur Diya Jayega,
Yeh Jung Tumhari Aakhri Saans Tak Larha Jayega,
Sab Yaad Rakha Jayega,

Ye Bhi Yaad Rakha Jayega Kis-Kis Tarah Se,
Tumne Watan Ko Todne Ki Saazishein Ki,
Ye Bhi Yaad Rakha Jayega Kis-Kis Yatan Se,
Humne Watan Ko Jodne Ki Khwahish Ki,
Ye Bhi Yaad Rakha Jayega,
Aur Jab Kabhi Bhi Zikr Ayega, Jahaan Mein Daur-E-buzdili Ka,
Tumhara Kaam Yaad Rakha Jayega,

Aur Jab Kabhi Bhi Zikr Ayega Jahaan Mein Taur Zindagi Ka,
Humara Naam Yaad Rakha Jayega,
Ki Kuch Log The Jinke Iraade Toote Nahin The Lohe Ki Hataudiyon Se,
Ki Kuch Log The Jinke Zameer Bike Nahin The,
Izaaredaron Ki Kaudiyon Se, Jaise Tumahre Bik Gaye Hain!

Ke Kuch Log The Jo Datte Rahe The,
Toofan-E-Nu Ke Guzar Jane Ke Baad Tak,
Kuch Log The Jo Zinda Rahe Apni Maut Ki Khabar Aane Ke Baad Tak

Bhale Bhool Jaye Palak Aankhon Ko Moondna,
Bhale Bhool Jaye Zameen Apni Doori Pe Ghoomna,
Humare Kate Paron Ki Parwaz Ko,
Humare Phate Galon Ke Awaz Ko Yaad Rakha Jayega,

Aur Tum Humein Qatl Kar Do Hum Banke Bhoot Likhenge,
Tumhare Qatl Ke Sare Suboot Likhenge,
Aur Tum Adalaton Se Baith Ke Chutkule Likho,
Hum Sadkon Deewaron Pe Insaf Likhenge,
Behre Bhi Sun Le Itni Zor Se Bolenge,
Andhe Bhi Padh Lein Itna Saf Likhenge