NA MEIN LYRICS – BABBU MAAN | GHAZAL | SHAYARI

Na Mein Lyrics (or Main) is a piece of a latest poetry that Babbu Maan dedicates to Maharaja Ranjit Singh. He has penned the lyrics and also composed its music.

Na Hindu Hoon, Muslamaan Hoon,
Main In Dono Ke Darmeyaan Hoon,
Sadiyon Se Rehte Hain Ek Hi Gaaon Mein,
Lekin Main Mandir Aur Maszid Ke Jhagde Se Pareshaan Hoon,
Ek Bole Bol Allah Dusra Bole Bol Shri Ram,
Maine Chupke Se Kaagaz Pe Likh Diya Bezubaan Hoon,
Zaat Aur Dharam Se Door
Bas Pyaar Hi Pyaar,
Main Mehnat-Kash, Kirti Insaan Hoon,
Naa Jaane Kyun Bhool Gaya Watan Mera,
Main Sher-E-Punjab Ki Aan Aur Shaan Hoon,
Usne Kaha Shehar Hai Diwana Mera,
Maine Kaha Mohtarma Main Anjaan Hoon,
Iss Liye Latka Diye Mujhe Sooli Par,
Maine Khud Hi Kaha Tha Main Be-Imaan Hoon,
Be-Imaan Hoon, Be-Imaan Hoon.
Main Ye Gazal Samarpit Karta Hoon,
Sher-E-Punjab Maharaja Ranjit Singh Ke Liye.