MARHAM LYRICS – SP CHAUHAN | SONU NIGAM

Marham Lyrics – an engaging romantic song with soothing voice of Sonu Nigam features Jimmy Shergill and Yuvika Chaudhary from the latest Hindi film “SP Chahuan.” Vibhas is director of music and the meaningful Hindi lyrics for “MARHAM” have been well-written by lyricist Abhendra Kumar Upadhyay.

Wo jo kabhi sardiyon mein dhoop si thi
Garmiyon mein chhaaon moujudagi teri kahan gayi,
Wo patjhad ke mausamon mein
Ek haryali si jo laayi thi
Wo baarishein kahan chali gayi,
Ab aankhein meri tujhe dhoonda kare
Tu mile na agar toh yeh roya karein.
Faansle yeh kam karun, main kisi tarah
Dard mein marham banu, main kisi tarah (x2).
Mere maathe pe silwatein jo hain
Aake inhein mita do na
Aansoo mere bhatakte phirte hai
Aake inhe panaah do naa.
Kuch kami si hai, kuch nami si hai
Aansuwon se bharaa hu main
Band teri aankhein jab se hai,
Saans roke khada hu main (x2),
Zakam ko tere bharun, main kisi tarah
Dard me marham banu, mai kisi tarah
Jin diwaaron ko saath mein,
Mere milkay tunay sajaaya tha,
Un diwaron pe rang hi nahi, jo kabhi tera saaya tha.
Mere aangan mein ek hansi teri
Jab kabhi bhi khankti thi
Gham sabhi door hotay thay,
Mere saari khushiyan mehakti thi,
Sari khushiyan mehakti thi.

Saath me har dum rahoon, main kisee tarah
Dard me marham banoon, main kisee tarah.