Deewane Hain Deewanon Ko Na Ghar Chahiye Lyrics – Zanjeer – Rafi & Lata

Deewane Hain Deewano Ko Na Ghar Chaahiye Lyrics: A romantic lovely qawali song from the movie Zanjeer (1973). This song became most famous song since its released. The song is sung by super singers Mohammad Rafi & Lata Mangeshkar and its lovely lyrics are written by  Gulshan Bawra. The music is composed by Kalyanji & Anandji and its.

Deewane Hain Deewanon Ko Lyrics

Deewane Hain Deewanon Ko Na
Ghar Chaahiye Na Dar Chaahiye
Mohabbat Bhari Ik Nazar Chaahiye
Nazar Chaahiye
Jawani Mein Jawani Ke Sahaare
Ho Jawan Mere Meharban
Mujhe Tu Hi Tu Humsafar Chaahiye
Humsafar Chaahiye
Deewane Hain Deewanon Ko Na
Ghar Chaahiye Na Dar Chaahiye
Mohabbat Bhari Ik Nazar Chaahiye
Nazar Chaahiye

Hai Sar Pe Hamare Khula Aasman
Khula Aasman
Hamare Liye Hai Yehi Aashiyan
Yehi Aashiyan
Bina Pyaar Ke Zindagi Kuchh Nahin
Jahan Pyaar Hai Har Khushi Hai Wahin
Ho Phoolon Bhari Chaahe Kaanton Bhari
Kaanton Bhari
Chale Jispe Tu Woh Dagar Chaahiye
Deewane Hain Deewanon Ko Na
Ghar Chaahiye Na Dar Chaahiye
Mohabbat Bhari Ik Nazar Chaahiye
Nazar Chaahiye

Nigahon Mein Aise Ishare Hue
Ishare Hue
Ke Dil Ne Kaha Hum Tumhare Hue
Tumhare Hue
Nazar Ban Gayi Hai Zubaan Pyaar Mein
Maza Aa Gaya Jeet Ka Haar Mein
Milega Wohi Jo Bhi Mangoge
Dildar Se Magar Pyaar Se
Duaon Mein Apni Asar Chaahiye
Asar Chaahiye
Deewane Hain Deewanon Ko Na
Ghar Chaahiye Na Dar Chaahiye
Mohabbat Bhari Ik Nazar Chaahiye
Nazar Chaahiye