CHEMICALS LYRICS – DINO JAMES

Chemicals Lyrics by Dino James and Kaprila is brand new Hindi song with music given by Bluish Music (Nilesh Patel). Chemicals song lyrics are written by Dino James and its music video is directed by Himanshu Tyagi.

Saari saari raat daraaye
Wo jaise hai daayan
Saasein na lene de aise rasayan
Hu baahar se ghayal
Aur andar se kaayal
Lagti mohabbat par hai sab yeh science

Kuch divya si cheeze samajhta tha pyar ko
Phir jaana body bas chhodti hormones

You aren’t in love tum chhote bimar ho
Kuch kaam nai aata hai Disprin ya Saridon
Us’se pyar karta hu
Ya uske sath koi ego hai mere

Wo kaise bhi praapt ho
Suljha raha hu main uljhi is ganth ko
Dil aur dimaag ke apas ke war ko
Ye kaise chemical chhode dimaag bhi
Itni lachaari hai aisa na tha kabhi
Jis se main ladta hu uska mian bhaag bhi
Kamzor pad raha hu andar aur taqat nai
Bas pyar karne ki maine himaakat ki
Aisa kyun ho gaya meri thi kya ghalti
Na karna ghalti se aisa mazaak bhi
Chemical’on ne kiya tere sath bhi

Hai yeh saara bas chemicals
Main tha bas tab se bekhabar
Tu sarvar mein ghar var mein
Har pal bas badbad mein
Dar dar kaanpun tharr tharr
Dil dhad dhad kyun mar mar ke
Karwat loon har kshhan mein
Parvat tha ab kann main
Sir garam maan sard hain
Andar bhar bhar dard hai

Khandar jaise manzar
Jaise khanjar kare puncture
Hu main banjar karu sangharsh
Sune humdard kyun na tang kare
Dheele anjar saare panjar
Teri sangat thi meri sampat
Par sampark mein nahi hum but
Just one word can comfort

Sunane de ya mujhe jaane de tu
Mujhe jeene ke jhuthe bahane de
Unn saari yaadon ki arthi ko kandhe de tu
Mujhe thaame reh bhale tu taane de
Wo sab anjaani si yaadein lautane de
Kho gaya tha main kabse khud ko paane de
Gaane de gaane de bas mujhko gaane
Gaane de gaane de gaane de

Beemariyon ke daag yeh jaate nahi
100 dard hain phir bhi kyun
100 rahatein nahi

Hai yeh saara bas chemicals
Main tha bas tab se bekhabar

Saari saari raat daraye
Woh jaise hai dayan
Saansein na lene de aise rasayan
Hu bahar se ghayal
Aur andar se kayal
Lagti mohabbat par hai sab yeh science