Baarish Ki Jaaye Lyrics | B Praak

Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha ke kare
Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha ke kare
Agar uss’se baatein karni hai
To phir nazar jhuka ke kare
To phir nazar jhuka ke kare

Taare uske hath mein hone hi chahiyein
Jugnu uske sath mein sone hi chahiyein
Ho khushbuon se uski sifarish ki jaaye
Ho khushbuon se uski sifarish ki jaaye

Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye

Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha ke kare
Agar uss’se baatein hai karni
To nazarein jhuka ke kare

Ho yeh sooraj se bhi keh do
Apni aag bujha ke kare
Agar uss’se baatein karni hai
To nazarein jhuka ke kare

Mohabbat-e-jaani ki
Poori khwahish ki jaaye
Mohabbat-e-jaani ki
Poori khwahish ki jaaye

Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye

Haaye aashiq hun jaane mein
Kitna waqt lagta hai
Rab ke ghar mein aane mein
Kitna waqt lagta hai

Dekha use to yeh maaloom hua
Ke jannat ko paane mein
Kitna waqt lagta hai

Yeh zamana jaane na
Kya kara sakti hai
Ho yaar mere ki nazrein hai
Dariya dooba sakti hai

Uska bas chale to
Saara dariya pee jaaye
Uska bas chale to
Saara dariya pee jaaye

Ae khuda, ae khuda
Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye

Ae khuda tu bol de tere baadlon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye

Na duniya ke liye likhte
Na mere liye likhte
Na duniya ke liye likhte
Na mere liye likhte
Ghalib zinda hote
To tere liye likhte
Ghalib zinda hote
To tere liye likhte

Written by:
Jaani