Y

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai Lyrics – Mohammad Rafi

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai Lyrics: The lovely romantic and truth of love, pain and its consequences song lyrics from the movie Hanste Zakhm (1973). This amazing song is sung by Legendary Singer Mohammad Rafi & Balbir and its great music composed by Madan Mohan. The feeling of emotion & sensational lyrics are written by Kaifi Azmi ;).

 

Haaye Tauba Tauba Yeh Jawani

Yeh Jawani Ka Guroor

Ishq Ke Saamne Sar Phir Bhi Jhukana Hi Pada

Kaise Kehte The Na Aayenge Na Aayenge Magar

Dil Ne Is Tarah Pukara Tumhein Aana Hi Pada

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Woh Ik Bekaraari Jo Ab Tak Idhar Thi

Wohi Bekaraari Udhar Kis Liye Hai

Abhi Tak To Idhar Thi Udhar Kis Liye Hai

Kis Liye Hai Haan Kis Liye Hai

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

 

Behalna Na Jaane, Badalna Na Jaane

Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Behalna Na Jaane Aaha, Badalna Na Jaane

Haye Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Ho Ho Ho Behalna Na Jaane, Badalna Na Jaane

Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Haan Tamanna Machal Ke Sambhalna Na Jaane

Kareeb Aur Aao, Kadam To Badhao

Jhuka Doon Na Sar To Sar Kis Liye Hai

Jhuka Doon Na Sar To Sar Kis Liye Hai

Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

 

Nazaare Bhi Dekhe, Ishare Bhi Dekhe

Kayi Khoobsurat Sahaare Bhi Dekhe

Haan Kayi Khoobsurat Sahaare Bhi Dekhe

Nazaare Bhi Dekhe, Ishare Bhi Dekhe

Kai Koobsurat, Haan Sahaare Bhi Dekhe

Naam Kya Cheez Hai, Izzat Kya Hai

Sone Chaandi Ki Hakiqat Kya Hai

Lakh Behlaaye Koyi Daulat Se

Pyaar Ke Saamne Daulat Kya Hai

Ho Ho Ho Nazaare Bhi Dekhe, Ishare Bhi Dekhe

Haye Kayi Khoobsurat Sahaare Bhi Dekhe

Haan Kayi Khoobsurat Sahaare Bhi Dekhe

Jo Maikhane Jaake Main Sagar Uthaaoon

To Phir Yeh Nasheeli Nazar Kis Liye Hai

To Phir Yeh Nasheeli Nazar Kis Liye Hai

Haan Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

 

Tumhi Ne Sanvara, Tumhi Ne Sajaya

Mere Soone Dil Ko Tumhi Ne Basaya

Haan Mere Soone Dil Ko Tumhi Ne Basaya

Tumhi Ne Sanvara, Tumhi Ne Sajaya

Mere Soone Dil Ko Tumhi Ne Basaya

Jis Chaman Se Bhi Tum Guzar Jao

Har Kali Par Nikhar Aa Jaaye

Rooth Jao To Rooth Jaaye Khuda

Aur Jo Hans Do Bahaar Aa Jaaye

Ho Ho Ho Tumhi Ne Sanvara, Tumhi Ne Sajaya

Haye Mere Soone Dil Ko Tumhi Ne Basaya

Haan Mere Soone Dil Ko Tumhi Ne Basaya

Tumhare Kadam Se Hai Ghar Mein Ujala

Agar Tum Nahin To Yeh Ghar Kis Liye Hai

Agar Tum Nahin To Yeh Ghar Kis Liye Hai

Haan Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai

Maza Ismein Itna Magar Kis Liye Hai

Woh Ik Bekaraari Jo Ab Tak Idhar Thi

Wohi Bekaraari Udhar Kis Liye Hai

Wohi Bekaraari Udhar Kis Liye Hai

Rahul Singh

Recent Posts

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon Lyrics | Haqeeqat

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon  (From" Haqeeqat ") 1964 Singer :- Mohammed Rafi Lyrics Kar…

4 months ago

Sandese Aate Hai Lyrics | Border

Sandese Aate Hai (From"Border") 1999 Singer :-  Roopkumar Rathod and Sonu NigamLyrics Sandese aate hain,…

4 months ago

Aisa Des Hai Mera Lyrics | Veer-Zara

Aisa Des Hai Mera (From"Veer-Zara") 2004 Singer :- Lata Mangeshkar, Udit Narayan, Gurdas Mann. Lyrics…

4 months ago

Chak De India Lyrics | Chak De India

Chak De India ("From Chak De India") 2007 Singer :- Sukhwinder Singh Lyrics kuch kariae…

4 months ago

Maa Tujhe Salaam Lyrics | Vande Mataram

Maa Tujhe Salaam (From"Vande Mataram") 1997 Singer :- A. R. Rahman Lyrics आ आ आ…

4 months ago

Main Agar Kahoon Lyrics | Om Shanti Om

Main Agar Kahoon (From "Om Shanti Om") 2007 Singer :- Shreya Ghoshal and Sonu Nigam…

4 months ago