Y

Yeh Kahaan Aa Gaye Hum Song Lyrics – Silsila

Yeh Kahaan Aa gaye Hum Lyrics: The one of best romantic, lovely, oldies, affectionate song from the movie Silsila which is sung by Amitabh Bachchan and Lata Mangeshkar. The lyrics is written by Javed, Rajendra Krishan, Nida Fazli, Hassan Kamal and Dr. Harivansh Rai Bachchan. Label of Song YRF Songs.

 

“Mere khayalo ke lafz se”

 

Main aur meri tanhaayi

Aksar ye baatein karte hai

Tum hoti toh kaisa hota

Tum yeh kehti, Tum woh kehti

Tum iss baat pe hairaan hoti

Tum uss baat pe kitni hasti

Tum hoti toh aisa hota

Tum hoti toh kaisa hota

Main aur meri tanhaayi

Aksar ye baatein karte hai

 

Ru…Ru…Ru…Ru..Ruuuuu

Aaannn…aaa..aaaa..Aaaaan

 

Yeh kahan aa gaye hum

Yunhi saath saath chalte

Teri baahon mein hai jaanam

Mere jismon jaan pighalte

Mere jismon jaan pighalte

Ye kahan aa gaye hum

Yunhi saath saath chalte

 

Ye raat hai yeh tumhaari

Zulfein khuli hui hai

Hain chaandni ye tumhaari

Nazron se meri raatein dhuli hui hai

Ye chand hai ya tumhaara kangan

Sitaare hai ya tumhara aanchal

Hawa ka jhonka hain

Yaa tumhaare badan ki khushbhoo

Ye patiyon ki hai sarsarahat

Ya tumne chupke se kuch kaha hai

Ye sochta hu main kab se gum-sum

Ki jab ki mujhko bhi yeh khabar hai

Tum yahin ho kahi nahi ho

Magar ye dil hai ki kehraha hai

Ki tum yahi ho yahi kahi ho

 

Hoo… Tu badan hai main hu chayaa

Tu naa ho main kahan hu

Mujhe pyaar karne wale

Tu jahan hai mein wahan hoon

Hume milna hi tha hum-dum

Issi raah bhi nikalte

Ho..Hume milna hi tha hum-dum

Issi raah bhi nikalte

Yeh kahan aa gaye hum

Yunhi saath saath chalte

 

Hmmm….meri saans saans mehke

Koi bhi naa bhi na chandan

Tera pyaar chaandni hai

Mera dil hai jaise aangan

Hui aur hi mulaayam

Meri shaam dhalte dhalte

Ho..hui aur hi mulaayam

Meri shaam dhalte dhalte

Yeh kahaan aa gaye hum

Yunhi saath saath chalte

 

Majboor ye haalat idhar bhi hai udhar bhi

Tanhaai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi

Kehne ko bahot kuch hai magar kisse kahe hum

Kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum

Dil kehta hai duniya ki har rasam uthaade

Deewar jo hum dono mein hai aaj gira de

Kyun dil mein sulagte rahe logo ko bata de

Haan humko Mohabbat Hai..Mohabbat Hai..Mohabbat Hai

Rahul Singh

Recent Posts

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon Lyrics | Haqeeqat

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon  (From" Haqeeqat ") 1964 Singer :- Mohammed Rafi Lyrics Kar…

4 months ago

Sandese Aate Hai Lyrics | Border

Sandese Aate Hai (From"Border") 1999 Singer :-  Roopkumar Rathod and Sonu NigamLyrics Sandese aate hain,…

4 months ago

Aisa Des Hai Mera Lyrics | Veer-Zara

Aisa Des Hai Mera (From"Veer-Zara") 2004 Singer :- Lata Mangeshkar, Udit Narayan, Gurdas Mann. Lyrics…

4 months ago

Chak De India Lyrics | Chak De India

Chak De India ("From Chak De India") 2007 Singer :- Sukhwinder Singh Lyrics kuch kariae…

4 months ago

Maa Tujhe Salaam Lyrics | Vande Mataram

Maa Tujhe Salaam (From"Vande Mataram") 1997 Singer :- A. R. Rahman Lyrics आ आ आ…

4 months ago

Main Agar Kahoon Lyrics | Om Shanti Om

Main Agar Kahoon (From "Om Shanti Om") 2007 Singer :- Shreya Ghoshal and Sonu Nigam…

4 months ago