G

GHAR SE DOOR LYRICS – BADSHAH

An introspective, quiet jam written on a long flight from home, Ghar Se Door is a straightforward confession of the moments when one feels like walking away from this relentless search and struggles as he tries to step away from reality and himself.

Baitha Hun Main Flight Mein Manager Hai Side Mein,
Tare Meri Side Mein Jaga Puri Night Main,
Khali Baithun Jo Main Hoti Anxiety,
Pagal Vagal Lagta Hai Kya Bolegi Society,
Apni Bachhi Se Dur Hun Dekha Nahi Kabsey,
Kam Kam Kam Bas Dur Hua Sabsey,
Mummy Ka Phone Katun Kabhi Kabhi Papa Ko Dantun,
Karun Seedhe Muh Na Bat Main Bhula Apni Aukat Main,
Hua Barbad Main,
Jagun Puri Rat Main Koi Nahi Sath Mein,
Jagun Puri Rat Main Apni Hi Yad Mein,
Jagun Puri Rat Main Dekhun Apney Hath Main,
Jagun Puri Rat Main Apni Hi Yad Mein,
6 Shehron Mein Ghar Phir Bhi Ghar Se Hun Dur Main,
Mauj Main Karta Hun Ya Hun Majbur Main,
Kya Hi Karunga Hokey Itna Mashhur Main,
Jo Mitti Mein Hi Milna Hai Sabne,
Sounga Tabhi Toh Dekh Paunga Main Sapney,
Iss Zindagi Se Ab Sar Laga Khapney,
Jane Kyun Log Mera Nam Lagey Japney,
Jinse Mila Bhi Nahi Unki Bhi Rai Hai Mere Bare Mein,
Log Afwah Hain Failaein Mere Bare Mein,
Jalne Wale Gane Banayein Mere Bare Mein,
Mere Ma Bap Ko Batein Batayein Mere Bare Mein Aye,
Itna Toh Nam Nahi Jitna Badnam Hun,
Phir Bhi Sabkuch Karta Sare Am Hun,
Galiyan Sun Ke Bhi Rehne Laga Calm Hun,
Nam Badshah Par Apney Fame Ka Gulam Hun,
Public Figure Hun Public Property Nahi,
Main Logon Ke Ravaiyye Se Thoda Hairan Hun,
Bilkul Tujh Jaise Mujhme Bhi Dil Hai,
Log Bhul Jate Hain Ki Main Bhi Insan Hun,
Jagun Puri Rat Main Koi Nahi Sath Mein,
Jagun Puri Rat Main Apni Hi Yad Mein,
Jagun Puri Rat Main Dekhun Apney Hath Main,
Jagun Puri Rat Main Apni Hi Yad Mein,
Top Pe Khada Hun Phir Phi Rone Ka Mann Hai,
Bhag Ke Thakk Gaya Hun Sone Ka Mann Hai,
Jo Bhi Kamaya Sab Khone Ka Mann Hai,
Ekdum Se Hi Gayab Hone Ka Mann Hai,
Ye Zindagi Bhul Jane Ka Mann Hai,
Phir Se Wapis Schul Jane Ka Mann Hai,

Duniya Ke Liye Marr Jane Ka Mann Hai,
Mera Wapis Ghar Jane Ka Mann Hai.

Rahul Singh

Recent Posts

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon Lyrics | Haqeeqat

Kar chale ham fida jaan-o-tan saathiyon  (From" Haqeeqat ") 1964 Singer :- Mohammed Rafi Lyrics Kar…

1 month ago

Sandese Aate Hai Lyrics | Border

Sandese Aate Hai (From"Border") 1999 Singer :-  Roopkumar Rathod and Sonu NigamLyrics Sandese aate hain,…

1 month ago

Aisa Des Hai Mera Lyrics | Veer-Zara

Aisa Des Hai Mera (From"Veer-Zara") 2004 Singer :- Lata Mangeshkar, Udit Narayan, Gurdas Mann. Lyrics…

1 month ago

Chak De India Lyrics | Chak De India

Chak De India ("From Chak De India") 2007 Singer :- Sukhwinder Singh Lyrics kuch kariae…

1 month ago

Maa Tujhe Salaam Lyrics | Vande Mataram

Maa Tujhe Salaam (From"Vande Mataram") 1997 Singer :- A. R. Rahman Lyrics आ आ आ…

1 month ago

Main Agar Kahoon Lyrics | Om Shanti Om

Main Agar Kahoon (From "Om Shanti Om") 2007 Singer :- Shreya Ghoshal and Sonu Nigam…

1 month ago